Sub
maya hai ...
Maya hai sub maya hai
Sub dhalti phirti chaya hai
is ishq mein hum nay jo khoya jo paya hai
jo tum nay kaha hai qais nay jo farmaya hai
maya hai,
sub maya hai
Jis gori per hum nay ghazal hur shaam likhi
tum jantey ho hum kyon ker us uus ka naam
likhein
dil us ki bhi chaukhtak choom kar wapis aya
hai
maya hai , sub maya hai
maloom humein sub qais mian kia qisa bhi
sub aik sai hein yeh ranjha bhi yeh insha
bhi
farhaad bhi jo aik nehar si khod kar laya
hai
maya hai , sub maya hai
wo larki bhi jo chaand nagar ki rani thi
wo jis ki alhar aankhoon mein hairani thi
aaj uus nay bhi paighaam yehi bhijwaya hai
maya hai , sub maya hai
jo loog abhi tuk naam wafa ka laitey hein
wo jaan kay dhookay khatey, dhookay daitey
hein
haan thook baja kar hum nay hukam lagaya hai
maya hai , sub maya hai
Jub daikh lia hur shashk yahan hurjai hai
phir shehr sai door aik kuttiya hum nay banai
hai
aur us kuttiya kay maathey pe likhwaya hai
maya hai ,
sub maya hai
Sent By: Hassan