Muskaratey
Raho
Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik
sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Baant'ni
hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil
ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Ashk
anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In
ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Faaslay
kam karo dil milatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Sent
By: Hassan