YE
BAAT SAMAJH MAIN AAI NAHI Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ney
samjhai nahi Main kaisay meethi baat karoon? Jab meethi cheeji khai nahi
Aapi bhi pakaati
hain Halwa, Woh aakhir kiyon 'Halwaai' nahi? Bhayya ki mangni ho gai kal,
Kiyoon kal hi 'Dulhan' mangwaai nahi? Ye baat samajh main aai nahi Naani
ke miyaan jab Nana hain, Dadi ke miyaan jab Dada hain...... Tab Aapi se main
ne poocha ..Baaji ke miyaan kiya 'Baaja' hain? Woh huns huns kar yoo kehnay
lagi, A bhai nahi yeh bhai nahi Ye baat samajh main aaai nahi Jab
naya maheena aata hay, Bijli ka bill aa jaata hay Halaankey Baadal bechaara
ye bijli mufft Lutata hay Phir hum ne apnay ghar Bijli....Kiyoo Badal se
lagwaai nahi? Ye baat samajh main aai nahi Gar
Billi 'Shair' ki khala hay?...phir hum ne ussay kiyoon pala hay? Kiya 'Shair'
bohat nalaayak hay? Khala ko maar nikala hay? Ya jungle ke Raja kay yahaan...
kiya milti doodh malaai nahi? Ye baat samajh main aai nahi Kiyoon
Lambay baal hain bhaalu ke ? Kiyoon uss ki tind karai nahi? Kiya 'woh' bhi
Ganda bacha hay?.. ya uss ke Abbu,bhai nahi? Yeh uss ka 'Hair Style' hay?.....
ya Jungle main koi Naai nahi? Ye baat samajh main aai nahi, Jo
Taaray jagmag kartay hain, Kiya unn ki 'Chachi Taai' nahi? Ho ga koi rishta
sooraj se? ye baat humain batlaai nahi Per Chanda kaisa mamoo hay? jab ammi
ka woh 'bhai' nahi? Ye baat samajh main aai nahi, Ye
baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ne samjhaai nahi Main kesay meethi baat
karoon? jab meethi cheeji khai nahi |